25 जनवरी 2020

Khabeesh

Mein hoon khabees, mein ghaliz hoon,

Mein aawaargi ki wakeel hoon
Woh taraanon ki mujassim noor main nahin

Woh faassaanon ki paak hoor main nahin
Main gulaam-e-nafas hoon
Main hubaab-e-hawas hoon
Main zinda hoon, figaar hoon
Main khud-sari ka minaar hoon
Main aana ki intehaan bhi ho sakti hoon
Shayaad tum mujhe kabhi na chhoto sako
Chaahe tum mujhe murda-e-khaas-o-khaashaak hi samjho
Main kyu jhoote armaano ki qataar banu?
Main khud-garz utni hi hoon, jitne tum
Main kyun paikaar-e-begharaz banu

Meri jubaan utni hi shirin hain, jitni tumhari
Main kyu sanam-i-khushi-akhlaq banu?
Main maamooli hoon

Mujh pe kyu zimmah ho mumtaazi ka?
Tumko ghuroor hai khaash hone par
Par mujhko zyaadah hai ilm sarfaraazi ka

Agar tumhein shauq-e-tabassum hai
Toh sange-marmar ka sanam le aso
Meri jabeen ki silvatein tumhari khushi se to nahin mitengi

Mere aazaa-e-rukh ki harkat , tumhare taabay nahin hai
Tumhari khaatir bhi nahi hain

Main zeenat ka samaan nahin hun
Main haaya ka farmaan nahi hun
Main nazaakat nahi jaanti
Main ibadaat nahi maanti

Main tumhaari tawajjoh ki talabgaar nahi hoon
Tumhaare baghair muflis-o-khwaar nahi hoon
Main tumhari qaisari ka makhoom nahi rahi
Tumhari himayaton ki muhsin nahi rahi
Tumhaare mehlon ko hard rahoon barson
Kaho ye kaisa ahd-e-wafa tha?

Jab main woh tilism-e-purfan hoon,
Jisne tumko jahangir kya tha
Main mahroom-e-sahil nahin hoon
Mera tajassus mujhe mairaj par le chalega
Safha-e-tareekh mujhe bhool bhi jaayein
Par ahl-e-wafa meri faatiha denge

Jism-o-zahan kaafan-posh aaj kai zamaano se hain
Par is ayyaam-e-zulmat mein darakhshaan hai majlis meri

Ye charcha aasmaano mein hai
Salaasil kab tak rok sakenge
Meri quwwatein aayan ho chuki hain
Madaaris kab tak tok sakenge
Meri jumbishein rawaan ho chilo hain
Nizaam-e-pidari se bhagawaat hai tehreek meri
Kamzor-o-kamzarf nahi ye tajweej meri
Main tumhaare wazaarat-khaano ka rukh bhi kar chuki hoon
Ab yeh khayaal chhod do ki aaraaish hai takhleeq meri

--- by Iqra Khilji

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें